Tuesday 25 October 2011

Dekha Hai Maine


   Zindagi me bhaut kuch ...
Dekha hai maine....,

Waqt aane par sabko sath chodte...
Dekha hai maine...,

Kaha tha karte hai humse pyar ,
nahi chodenge hamara sath ,
Us anjani rah par khud ko bhatakte...
Dekha hai maine....,

Mera pyar to gangajal ki trah pavitra tha ,
Us pyar ko unhi k hatho apavitra hote...
Dekha hai maine...,

Bahaye khub ashq unki yaad me ,
Par na unhe yad meri ,
unhi ashqo se apne daaman ko dhote...
Dekha hai maine....,

Kiya unse itna pyar ke bhula bethi me khud ko ,
Unke pyar me khud ko fanaa hote...
Dekha hai maine...,

Ki thi dua taap ke, ae khuda dikhlade unki ek jhalak ,
Fir khudi ko nazarandaaz hote...
Dekha hai maine...,

Halat hamari bayan karne layak na thi ,
Fir bhi ki koshish unhe batane ki ,
Sun kar unsune kar gaye vo ,
Us khamoshi ko sunte...
Dekha hai maine....,

Bana kar rab unhe, rakh liya mann k mandir me ,
Utari aarti subah aur sham ,
Us pyar ki law ko bujhte...
Dekha hai maine...,

Dekh kar haal hamara, kosa sabne unhe ,
Unke gunaho ko apne sar lete...
Dekha hai maine....,

Rula kar hume khoon ke aansu ,
na aya unki aankh me paani ,
Us aag ko apne ashqo me behte...
Dekha hai maine....,

Socha bar bar ab nahi karungi unhe yaad ,
Bewafaa hai vo aur jhoota hai unka pyar ,
Fir dil ke hatho khud ko majboor hote...
Dekha hai maine....,

Socha hoga unhone, badh gayi hai itni duriya,
To bhula diya hoga unhe ,
Unhi dooriyo me khud ko unke aur bhi kareeb hote...
Dekha hai maine....,

Humne apne khwabo ko unke rang me ,
kuch is kadar rang diya ,
Fir us khoobsurat khwabo ki dunia ko berang hote...
Dekha hai maine....,

Chaha unhe is kadar , na ki parwah is zamane ki ,
Fir unhi ko laaparwah hote...
Dekha hai maine....,

Thak gayi thi unhe pyar kar kar ke ,
Socha aur nahi rahi ab taakat ,
Agle hi pal unki pyar ki gehrayi me khud ko girte...
Dekha hai maine....,

Bole unhone inte jhoot, gira diya hume hamari hi dost ki nazro se ,
Baar baar samjhane ke baad bhi na aya unhe yakeen ,
Us jhoot ko sach hote...
Dekha hai maine...,

Sachayi thi itni kadvi, na aya hume yakeen ,
Aisa bhi kar sakte hai vo...?
Na chahte huye bhi khud ko us yakeen karte...
Dekha hai maine....,

Kar diya unhone itna bebas, na choda kisi layak mujhe ,
Us karibi dost ko bhi khud se bichadte...
Dekha hai maine....,

Soch liya tha na karungi khud ko aur saabit ,
Us jhoot ki zanzeero me khud ko jakadte...
Dekha hai maine....,

Na bata payi pura sach kisi ko ,
ke gir na jaye vo sabki nazro me ,
Unki jagah khud ko girte...
Dekha hai maine....,

Sharm ayi unki kartooto par ,
Soch liya tha na karungi unse kabhi baat ,
Fir bhi unki chinta me khud marte...
Dekha hai maine....,

Gina ek-ek din na ki unhone jis din se baat ,
Aj chod diya sab kuch ,
Fir khud ko sapno ki dunia se hamesha ke liye ,
bida hote....
Dekha hai maine....,

No comments:

Post a Comment