Tuesday 1 November 2011

Waiting for You


Here .. i am sitting  on the  grass..
Wondering as you are sitting beside me...
Your foggy image is appearing...
I am requesting you to come under the clear sky..
as i am...!
I Am Waiting For You..
just to capture you in my soul...!
Everyone is happy with thier love...
And here i am with nothing but my emptiness...!!


I am waiting for you...
to come and sit with me...!

My life is waiting for you...
to complete me...!

My God is waiting for you...
to bless you...!

My Prayer is waiting for you...
to join me...!

My Eyes are waiting for you...
to capture you in my soul...!

My Arms are waiting for you...
to wrap you tightly...!

My Palm is waiting for you...
to write your name in its web...!

My Dreams are waiting for you...
to dream of you...!

My Trust is waiting for you...
to have faith in me...!

My Lips are waiting for you...
to share with...!

My Victory is waiting for you...
for the celebration...!

My Shoulders are waiting for you...
to lay your head on it...!

My Mind is waiting for you...
to lend me some cherishable memories...!

My Breath is waiting for you...
to entangled with your breath...!

My Heart is waiting for you...
to rest in mine...!

My Legs are waiting for you...
to walk along...!

My cell is waiting for you...
to ring me up...!

My Pearls are waiting for you...
to shed before you...!

My Alive Graveyard is waiting for you...
to put my favourite flowers on it...!

Sunday 30 October 2011

The Person I Admire


here would no words to express how i feel about him...
i would constantly search 4 the words..
and they all would seem less than i truly feel...
who would be my heart...my love...my soul...my life...
who would be my best friend i ever have had...
i think of him every day and dream of him each night..

The sound of his voice would be the sweetest sound i will ever find..
i would make this promise to my dear..
'' to love him the way that he would love me ''
After having him in my life...'' i look to the future and forget the PAST..
his life is mine and we will make it LAST...'' !


To whom i could say...
'' with all my heart...i am yours...!
who would simply irreristible...
i can be myself , when i ll be with him...
who could make me feel like...i never felt before...
i could tell him anything..and he wont be shocked....

Who could teach me real meaning of life...that life is full of trials...
ups and downs...which test our inner strength...
and more importanty our devotion and love for one another....
who would always say what i need to hear...
there would be nothing to make him fear...!!

Whose thinking could fill me , with a wonderful feeling...
who could taught me the true meaning of love....
who would never give up on me...and thats what would keep me going....
whose thinking could fill me , with a wonderful feeling...
who would be theme of my dreams...
and our love would continuously flow just as streams...!!

The longer i would stay away from him...
the greater would my yearning to be with him...
who would respect my tender love and warm embrace....!
I would love him more today than i did Yesterday....
and i'll love him more Tomorrow..than i do Today....!


Saturday 29 October 2011

Betiyaan


Inke aane ki khabar ho jaye to ,
Garbh me hi marwa di jati hai....,
                     Betiyaan....!

Galti se paida ho bhi jaye to...,
Maa ko khushi se phula deti hai...,
                     Betiyaan....!

5 saal ki umr me natkhat harkate kar....,
gusse me bhi maa ko hasati hai....,
                      Betiyaan...!

Nadaan samay me bhi , maa ko bimar dekh...,
Sab masti chhod maa ki madad krwati hai...,
`                      Betiyaan....!

16 saal ki umr me roka jata hai inhe bahar nikalne se..,
Fir bhai ko bigadta dekh , baap ko dilasa deti hai....,
                      Betiyaan....!

Mehnat se badhti hai aage, sochti hai ghar me dengi sbko khushi.,
Fir nirasha ka saamna krti hai....,
                      Betiyaan....!

Jese-tese sabko mana kar nikalti hai bahar ki duniya me..,
Waha bhi khud ko asurakshit paati hai...,
                      Betiyaan....!

Apno ki kathor drishti se nikalkar...,
Sochti hai thodi khushi milegi bahar ki duniya me...,
Us azadi ki duniya me bhi nirasha paati hai....,
                      Betiyaan....!

Laakho mushakkato ke baad nikalti hai padhne...,
Fir dusre din baahar nikalne se katraati hai...,
                      Betiyaan...!

Chah kr bhi nahi bata pati kisi ko apni pareshani...,
Ke ruk na jaye unke aage badhne ka rasta...,
Fir himmat karke apne sapno ko haqeekat me badalne nikal jati hai.,
                      Betiyaan ....!

Ye to khilta hua ghulaab hai, jo apni khushbu se sabko mehkati hai..,
Fir waqt se pehle khud hi murjha jati hai..,
                      Betiyaan....!

Ye to bekhabar hoti hai is duniya ki sachayi se..,
kabhi rape, blackmailing, murder ka shikar ho jati hai...,
                       Betiyaan...!

Nikal padti hai kaamyabi ki rah par..,
Maa-baap ke sapno ko apni manzil banane...,
Kabhi-kabhi maut ko apni manzil bante paati hai...,
                        Betiyaan...!

Apno ke hi muh se sunne ko milte hai aise-aise taane...,
2 pyar ke meethe bol sunne ko taras jati hai...,
                        Betiyaan....!


Tarasti hai tadapti hai, ho jata hai ehsaas...,
Ke koi nahi hai inka is duniya me...,
Fir gir kar khud hi khadi ho jati hai...,
                       Betiyaan....!

Socha tha badi ho kar karengi apne sapne poore...,
Phir apno ke hi hatho un sapno ka gala ghut te paati hai...,
                      Betiyaan....!

Bachpan me bina kisi baat ke...,
Maa ka aanchal bhigoya karti thi...,
Aur ab apne dupatte me chhup-chhup kar roti hai...,
                        Betiyaan...!

Vo bachpan kitna pyara tha...,
jab maa ki gode aur papa ke kandho ka sahara tha...,
Phir un yaado se baahar aa, haqeekat ko apnati hai...,
                       Betiyaan.....!

Jo anjaan thi Dukh , Dard , Bebasi , Nafrat , Majburi jese shabdo se,
Unhi shabdo ke sahare apna jeewan bita deti hai...,
                       Betiyaan....!

Sunayi jati thi bachpan me pariyon ki kahani..,
Banegi ek din kisi raja ke sapno ke rani...,
Fir khud ko daasi bante paati hai...,
                       Betiyaan...,

Roti hai sisak-sisak kar, sun kar ansuna kar deta hai log..,
Us waqt me bhi anpa ghum bhulakar..,
Dusro ko khushi de jati hai...,
                        Betiyaan...!

Toot jati hai khud andar se, na khabar hone deti hai kisi ko bahar...,
Us dard me bhi dusro ke dilo ko jod jati hai...,
                        Betiyaan...!

De dete hai unke hisse ka pyar bhi beto ko...,
k banenge ek din vo unke budhape ki lathi...,
Us kamzor lathi ko bhi tutne se bacha leti hai...,
                       Betiyaan...!

Wahi beta deta hai dhokha...
aur pher deta hai saari ashao par paani.,
Us waqt me bhi sahara banti hai...,
                       Betiyaan.....!

Puri zindgi guzaar jati hai us bina galti ki saza me...,
Us dard me bhi dusro ko jhat se maaf kar jati hai...,
                       Betiyaan...!

Beto ki kartooto se jab jhuk jati hai mata-pita ki nazare..,
Un sharm se jhuki nazro ko bhi utha deti hai...,
                       Betiyaan...!





Ye Duniya


Zindagi bita di dusro k aansu poch-poch kar ,
Na mila ek bhi kandha sar rakh kar rone ko ,          
 Aur duniya keh gayi......
Kisi ka sahara na milne ka dard.....
         Tujhe pata hi kya hai.....?

Le liye dusro ke ghamo ke baadal apne sar par ,
Na padne di apne ghamo ki chhaya bhi ,
Aur duniya keh gyi.......
Gham kise kehte hai.....
         Tujhe pata hi kya hai.....?

Roti rahi akele me tadap-tadap kar ,
Achanak muskura deti kisi k aane pe ,
Aur duniya keh gayi.......
Jhuti muskurahat ka dard.....
         Tujhe pata hi kya hai.....?

Ladti rahi dusro ke liye ,
Na ki kabhi apni sifarish ,
Aur duniya keh gayi.....
Kisi ke haq ke liye ladna.....
         Tujhe pata hikya hai......?

Pucha khuda se maine kis mitti se banaya hai mujhe....?
Nafrat kese karte hai ye sikhna hi bhul gaya....!
Fir duniya keh gayi.....
Niswaarth pyar kise kehte hai.....
           Tujhe pata hi kya hai....?

Badalti rahi apni muraade ,
Dusro ki zaroorato ke mutabik ,
Aur duniya keh gayi......
Kisi ke liye dua kese karte hai....
            Tujhe pata hi kya hai....?

Agar maangna hota kuch apne liye ,
To maangti  ek hi dua baar-baar ,
Aur duniya keh gayi.....
Zarurat kise kehte hai.....
            Tujhe pta hi kya hai.....?

Doob gayi me dusro ke ghamo me itna ,
Ke bhula bethi me apni khushiyo ko ,
Aur duniya keh gayi ,
Tyaag kise kehte hai.....
             Tujhe pata hai kya hai.....?

Mere dil ke to pehle hi hazar tukde the ,
Fir bhi jodti rahi dusro k dilo ko ,
Aur fir dunia keh gayi....
dil tutne ka dard....
             Tujhe pata hi kya hai.....?

Janti thi tanhai ka dard ,
Isiliye na rehne dia kisi ko akela maine ,
Aur duniya keh gayi....
Akelapan kise kehte hai.....
             Tujhe pata hi kya hai.....?

Bata gaye mere khoon ke ashqo ko vo paani ,
na bheegne di jinki palke mene kabhi ,
Aur duniya keh gayi....
dil ka sisak-sisak kar rona.....
              Tujhe pata hi kya hai.......?

Samjhe sabke jazbaat puri gehrai se ,
 Na jaane diya us gehrayi  ke aas-pass bhi ,
Aur duniya keh gayi.....
jazbaato pe chot lagna.....
               Tujhe pata hi kya hai.....?

Pal-pal tadapta hai dil...har din roti hai aankhe ,
Dhokhe k alawa na mila kuch badle me ,
Aur duniya keh gayi....
sangharsh kise kehte hai.....
              Tujhe pata hi kya hai....?

Zarurat thi apno ki jab ,
dekh kar andekha kar gaye log ,
Aur duniya keh gayi....
Nazarandaaz hona kise kehte hai.....
             Tujhe pata hi kya hai.....?

Diya unka bhi sath ,
Jo the meri barbadi me shaamil ,
Aur duniya keh gayi....
Logo ki samajh....
             Tujhe pata hi kya hai....?

Tuesday 25 October 2011

Dekha Hai Maine


   Zindagi me bhaut kuch ...
Dekha hai maine....,

Waqt aane par sabko sath chodte...
Dekha hai maine...,

Kaha tha karte hai humse pyar ,
nahi chodenge hamara sath ,
Us anjani rah par khud ko bhatakte...
Dekha hai maine....,

Mera pyar to gangajal ki trah pavitra tha ,
Us pyar ko unhi k hatho apavitra hote...
Dekha hai maine...,

Bahaye khub ashq unki yaad me ,
Par na unhe yad meri ,
unhi ashqo se apne daaman ko dhote...
Dekha hai maine....,

Kiya unse itna pyar ke bhula bethi me khud ko ,
Unke pyar me khud ko fanaa hote...
Dekha hai maine...,

Ki thi dua taap ke, ae khuda dikhlade unki ek jhalak ,
Fir khudi ko nazarandaaz hote...
Dekha hai maine...,

Halat hamari bayan karne layak na thi ,
Fir bhi ki koshish unhe batane ki ,
Sun kar unsune kar gaye vo ,
Us khamoshi ko sunte...
Dekha hai maine....,

Bana kar rab unhe, rakh liya mann k mandir me ,
Utari aarti subah aur sham ,
Us pyar ki law ko bujhte...
Dekha hai maine...,

Dekh kar haal hamara, kosa sabne unhe ,
Unke gunaho ko apne sar lete...
Dekha hai maine....,

Rula kar hume khoon ke aansu ,
na aya unki aankh me paani ,
Us aag ko apne ashqo me behte...
Dekha hai maine....,

Socha bar bar ab nahi karungi unhe yaad ,
Bewafaa hai vo aur jhoota hai unka pyar ,
Fir dil ke hatho khud ko majboor hote...
Dekha hai maine....,

Socha hoga unhone, badh gayi hai itni duriya,
To bhula diya hoga unhe ,
Unhi dooriyo me khud ko unke aur bhi kareeb hote...
Dekha hai maine....,

Humne apne khwabo ko unke rang me ,
kuch is kadar rang diya ,
Fir us khoobsurat khwabo ki dunia ko berang hote...
Dekha hai maine....,

Chaha unhe is kadar , na ki parwah is zamane ki ,
Fir unhi ko laaparwah hote...
Dekha hai maine....,

Thak gayi thi unhe pyar kar kar ke ,
Socha aur nahi rahi ab taakat ,
Agle hi pal unki pyar ki gehrayi me khud ko girte...
Dekha hai maine....,

Bole unhone inte jhoot, gira diya hume hamari hi dost ki nazro se ,
Baar baar samjhane ke baad bhi na aya unhe yakeen ,
Us jhoot ko sach hote...
Dekha hai maine...,

Sachayi thi itni kadvi, na aya hume yakeen ,
Aisa bhi kar sakte hai vo...?
Na chahte huye bhi khud ko us yakeen karte...
Dekha hai maine....,

Kar diya unhone itna bebas, na choda kisi layak mujhe ,
Us karibi dost ko bhi khud se bichadte...
Dekha hai maine....,

Soch liya tha na karungi khud ko aur saabit ,
Us jhoot ki zanzeero me khud ko jakadte...
Dekha hai maine....,

Na bata payi pura sach kisi ko ,
ke gir na jaye vo sabki nazro me ,
Unki jagah khud ko girte...
Dekha hai maine....,

Sharm ayi unki kartooto par ,
Soch liya tha na karungi unse kabhi baat ,
Fir bhi unki chinta me khud marte...
Dekha hai maine....,

Gina ek-ek din na ki unhone jis din se baat ,
Aj chod diya sab kuch ,
Fir khud ko sapno ki dunia se hamesha ke liye ,
bida hote....
Dekha hai maine....,

Cruel World

Cruel World.......
- by Taruna


If you want to live your life happily...,
So do not trust anyone so easily...!

The hurting words of our love ones...,
act nothing less than a weapon...,
They break you internally...,
and take you into the emotional prison...!

This world is cruel we have to accept this fact...,
Else you will be disappointed to know this world's tact...!

Do not forget that you are an idividual personality...,
You will definately stand again if you gather all your ability...!

I want to give you a simple suggestion...,
Life is uncertain so quit all your expectations...!

People are not what they appear to be...,
At an unfortunate situation...,
Their unvisualised face you will see...!

Do not trust them...,
if they say, whenever you need me i'll be there for you..,
Soon you will realise..,
just like an animal you are trapped in a zoo...!

Satan is the one who is controlling over world's mind...,
They see everything..but pretend to be blind...!

Never think you are out of trouble...,
after being heard few words of relief..,
They will stay with you forever, now its just a belief...!

They are not as selfless as they act...,
you will get shocked to see...,
How they plot against you , behind your back...!

No matter how strong you are...,
life will make you cry...,
When you want to shed your tears...,
you find them dry...!

Do not let anybody know your weakness...,
even if they are your lovely friends...,
One day they will betray you..,
and get changed just as trends...!

Another challenge waits for us..,
while we feel relaxed...,
People get melted from thier goodness...,
as they are statue of wax...!

This world is not just a shadow, but itself a Devil..,
They would not do anything beneficial to you but Evil...!

Build yourself up in such a way..,
that people consider you as Trustworthy..,
Even if they have prooved to be Unworthy...!

Sooner or later you will realise...,
This life is filled with unwanted surprise...!

I have come to know ,not even a single thing is mine...
At the end i have to go into the world of divine...!



18/09/2011