Inke aane ki khabar ho jaye to ,
Garbh me hi marwa di jati hai....,
Betiyaan....!
Galti se paida ho bhi jaye to...,
Maa ko khushi se phula deti hai...,
Betiyaan....!
5 saal ki umr me natkhat harkate kar....,
gusse me bhi maa ko hasati hai....,
Betiyaan...!
Nadaan samay me bhi , maa ko bimar dekh...,
Sab masti chhod maa ki madad krwati hai...,
` Betiyaan....!
16 saal ki umr me roka jata hai inhe bahar nikalne se..,
Fir bhai ko bigadta dekh , baap ko dilasa deti hai....,
Betiyaan....!
Mehnat se badhti hai aage, sochti hai ghar me dengi sbko khushi.,
Fir nirasha ka saamna krti hai....,
Betiyaan....!
Jese-tese sabko mana kar nikalti hai bahar ki duniya me..,
Waha bhi khud ko asurakshit paati hai...,
Betiyaan....!
Apno ki kathor drishti se nikalkar...,
Sochti hai thodi khushi milegi bahar ki duniya me...,
Us azadi ki duniya me bhi nirasha paati hai....,
Betiyaan....!
Laakho mushakkato ke baad nikalti hai padhne...,
Fir dusre din baahar nikalne se katraati hai...,
Betiyaan...!
Chah kr bhi nahi bata pati kisi ko apni pareshani...,
Ke ruk na jaye unke aage badhne ka rasta...,
Fir himmat karke apne sapno ko haqeekat me badalne nikal jati hai.,
Betiyaan ....!
Ye to khilta hua ghulaab hai, jo apni khushbu se sabko mehkati hai..,
Fir waqt se pehle khud hi murjha jati hai..,
Betiyaan....!
Ye to bekhabar hoti hai is duniya ki sachayi se..,
kabhi rape, blackmailing, murder ka shikar ho jati hai...,
Betiyaan...!
Nikal padti hai kaamyabi ki rah par..,
Maa-baap ke sapno ko apni manzil banane...,
Kabhi-kabhi maut ko apni manzil bante paati hai...,
Betiyaan...!
Apno ke hi muh se sunne ko milte hai aise-aise taane...,
2 pyar ke meethe bol sunne ko taras jati hai...,
Betiyaan....!
Tarasti hai tadapti hai, ho jata hai ehsaas...,
Ke koi nahi hai inka is duniya me...,
Fir gir kar khud hi khadi ho jati hai...,
Betiyaan....!
Socha tha badi ho kar karengi apne sapne poore...,
Phir apno ke hi hatho un sapno ka gala ghut te paati hai...,
Betiyaan....!
Bachpan me bina kisi baat ke...,
Maa ka aanchal bhigoya karti thi...,
Aur ab apne dupatte me chhup-chhup kar roti hai...,
Betiyaan...!
Vo bachpan kitna pyara tha...,
jab maa ki gode aur papa ke kandho ka sahara tha...,
Phir un yaado se baahar aa, haqeekat ko apnati hai...,
Betiyaan.....!
Jo anjaan thi Dukh , Dard , Bebasi , Nafrat , Majburi jese shabdo se,
Unhi shabdo ke sahare apna jeewan bita deti hai...,
Betiyaan....!
Sunayi jati thi bachpan me pariyon ki kahani..,
Banegi ek din kisi raja ke sapno ke rani...,
Fir khud ko daasi bante paati hai...,
Betiyaan...,
Roti hai sisak-sisak kar, sun kar ansuna kar deta hai log..,
Us waqt me bhi anpa ghum bhulakar..,
Dusro ko khushi de jati hai...,
Betiyaan...!
Toot jati hai khud andar se, na khabar hone deti hai kisi ko bahar...,
Us dard me bhi dusro ke dilo ko jod jati hai...,
Betiyaan...!
De dete hai unke hisse ka pyar bhi beto ko...,
k banenge ek din vo unke budhape ki lathi...,
Us kamzor lathi ko bhi tutne se bacha leti hai...,
Betiyaan...!
Wahi beta deta hai dhokha...
aur pher deta hai saari ashao par paani.,
Us waqt me bhi sahara banti hai...,
Betiyaan.....!
Puri zindgi guzaar jati hai us bina galti ki saza me...,
Us dard me bhi dusro ko jhat se maaf kar jati hai...,
Betiyaan...!
Beto ki kartooto se jab jhuk jati hai mata-pita ki nazare..,
Un sharm se jhuki nazro ko bhi utha deti hai...,
Betiyaan...!